logo

Bayaaz

donate usNotificationA

nauha - irfan haider - 2023

Jhoola To Nazar Aayega Asghar Na Milega

Maa Kehti Thi Kya Kya Malal Jhele Hon Ge
Behna Nahi Pas Kise Khelay Hon Ge
Raat Andheri Daro Na Jangle Main
Asghar Mere Qabar Main Akele Hon Ge
Maa Kehti Thi, Na Milega Na Milega

Jhoola To Nazar Aayega Asghar Na Milega

Ab Sari Khudai Main Asghar Na Milega
Jhoola To Nazar Aayega Asghar Na Milega

Ab Jhula Jhulane Ko Taras Jayengi Bahain
Khayme Mein Kabhi Dasht Me Dhundengi Nigahe
Thak Jayengi Ye Ankhe, Asghar Na Milega
Jhoola To Nazar Aayega Asghar Na Milega

Saaye Me Na Jawungi Tu Ghar Laut Ke Ajaa
Har Waqt Mere Honto Per Honga Hehi Noha
Bin Tere Sukoo Maa Ko, Asghar Na Milega
Jhoola To Nazar Aayega Asghar Na Milega

Dhayenge Layee'n Ham Per Abhi Aur Qayamat
Dhundenge Shaki Dasht Me Beshir Ki Turbat
Shuhada Ke Saro Me Jab, Asghar Na Milega
Jhoola To Nazar Aayega Asghar Na Milega

Zindan Se Riha Ho Kar Jab Jayenge Ham Ghar
Har Goud Me Dhundengi Bohat Roye Gi Muztar
Jab Fatema Sughra Ko, Asghar Na Milega
Jhoola To Nazar Aayega Asghar Na Milega

Hathon Me Uthaongi Jab Pani Ka Kuza
Pani Me Nazar Aayegaa Besheer Ka Chehra
Bas Aas Nazar Aayegaa, Asghar Naa Milega
Jhoola To Nazar Aayega Asghar Na Milega

Asghar Ke Shaluke Jab Nazar Ayenge Ghar Me
Ik Dard Sa Us Waqt Bhi Uthe Ga Jigar Me
Sab Honge Wahan Lekin, Asghar Na Milega
Jhoola To Nazar Aayega Asghar Na Milega

Kya Beet Gai Ho Gi Uss Maa Ke Jigar Par
Socho To Zara Kehta Hai Irfan Se Mazhar
Jab Sheh Ne Kaha Ho Ga Asghar Na Mile Ga
Jhoola To Nazar Aayega Asghar Na Milega

HomebookmarkmybayaazSetting